ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae

ye rang-o-nur bhala kab kisi ke hath aae
kidhar chale hain andhere ye hath phailae

khuda kare koi shamen liye chala aae
dhadak rahe hain mere dil mein sham ke sae

kahan wo aur kahan meri pur-khatar rahen
magar wo phir bhi mere sath dur tak aae

main apne ahd mein sham-e-mazar ho ke raha
kabhi na dekh sake mujh ko mere ham-sae

chale-chalo ki bata degi rah khud raste
kahan hai waqt ki koi kisi ko samjhae

haram ki aabru hum ne bahut rakhi phir bhi
kai charagh sanam-khane mein jala aae

main apne dil ko to taskin de bhi lun 'maikash'
wo muztarib hai bahut kaun us ko samjhae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close