jinhen ras aa gae hain ye sahar-numa andhere ye talash-e-subh-e-nau mein kabhi ham-safar the mere thin jo qatl-gahen un ki hain wahi qayam-gahen the jo rahzanon ke maskan hain wo rahbaron ke dere main jahan-e-be-dili mein kahan le ke jaun dil ko mere dil ki ghat mein hain yahan chaar-su lutere ai shabon ke pasbanon main ye tum se puchhta hun jinhen pujte rahe ho wo kahan gae sawere are main to be-nawa hun jo kabhi na bik sakega are tum sunar ho kar yahan ban gae kasire