ye raste mein jo shab khadi hai hata raha hun muaf karna baghair ijazat main din ko basti mein la raha hun muaf karna zamin banjar thi tum se pahle pahad khamosh dasht khali kahaniyo mein tumhein kahani suna raha hun muaf karna kuchh itne kal jama ho gae hain ki aaj kam padta ja raha hai main in parindon ko apni chhat se uda raha hun muaf karna ye be-yaqini ajab nasha hai ye be-nishani ajab sakun hai main in andheron ko raushni se bacha raha hun muaf karna inhen sitaron ke sab lataif suna chuka hun hansi hansi mein aur ab charaghon se apna daman bacha raha hun muaf karna mujhe batane ka faeda kya makin kya the makan kya hain main us gali se na aa raha hun na ja raha hun muaf karna