ye roz-o-shab milenge kahan dekhte chalen aae hain jab yahan to jahan dekhte chalen zamzam piyen sharab piyen zahr-e-gham piyen har har nafas ka raqs-e-jawan dekhte chalen ho jaen rafta rafta hasinon ki khak-e-pa be-nam ho ke nam-o-nishan dekhte chalen lahje mein rang rukh mein nazar mein khiram mein ek jaan-e-jaan ka lutf-e-nihan dekhte chalen aankhon se ungliyon se labon se khayal se jis jis badan mein jo hai saman dekhte chalen ye jaan-o-tan jo pir hue gham ke bojh se jate hue to un ko jawan dekhte chalen khushbu se jin ki ab bhi moattar hain baam-o-dar in bastiyon mein un ke nishan dekhte chalen zauq-e-yaqin ki husn-e-murawwat ki gham ki maut jo kuchh dikhae umr-e-rawan dekhte chalen khaen fareb roz uthaen naqab roz har shakhs kya hai aur kahan dekhte chalen mana ki raegan hi gai umr-e-be-sabaat phir bhi hisab-e-sud-o-ziyan dekhte chalen