ye sab kahne ki baaten hain hum un ko chhod baithe hain jab aankhen chaar hoti hain murawwat aa hi jati hai wo apni shokhiyon se koi ab tak baz aate hain hamesha kuchh na kuchh dil mein shararat aa hi jati hai na uljho tana-e-dushman pe aisa ho hi jata hai jahan ikhlas hota hai shikayat aa hi jati hai liya jab nam ulfat ka badal jati hai sirat bhi nigah-e-sharm-agin mein shararat aa hi jati hai kabhi chitwan se an-ban hai kabhi sauda hai gesu ka nasibon ki ye shamat hai ki shamat aa hi jati hai hamesha ahd hote hain nahin milne ke ab un se wo jab aa kar lipatte hain mohabbat aa hi jati hai kahin aaram se do din falak rahne nahin deta hamesha ek na ek sar par musibat aa hi jati hai hisab-e-dostan dar-e-dil taqaza hai mohabbat ka masal mashhur hai ulfat se ulfat aa hi jati hai