ye sach hai baham us ki mohabbat bhi nahin thi aur tark marasim hon ye himmat bhi nahin thi us shakhs ki ulfat mein giraftar ye dil tha jis shakhs ko chhune ki ijazat bhi nahin thi kuchh zakhm-e-tamanna ko na tha shauq-e-mudawa kuchh us ko masihai ki aadat bhi nahin thi the rah-e-mohabbat mein padaw kai lazim kya kijiye rukna meri fitrat bhi nahin thi jo khwab-e-shikasta ko ata hausla karti hasil wo junun-khez rifaqat bhi nahin thi har-chand ki afsos bichhadne ka hamein tha lekin milen hum phir kabhi hasrat bhi nahin thi wahshat mein charaghan mein tere qurb se karta afsos mayassar ye suhulat bhi nahin thi kuchh raste dushwar manazil ke the aur kuchh jazbon mein 'khayal' apne sadaqat bhi nahin thi