teri mahfil mein farq-e-kufr-o-iman kaun dekhega fasana hi nahin koi to unwan kaun dekhega yahan to ek laila ke na jaane kitne majnun hain yahan apna gareban apna daman kaun dekhega bahut nikle hain lekin phir bhi kuchh arman hain dil mein ba-juz tere mera ye soz-e-pinhan kaun dekhega agar parde ki jumbish se larazta hai to phir ai dil tajalli-e-jamal-e-ru-e-jaanan kaun dekhega agar hum se khafa hona hai to ho jaiye hazrat hamare baad phir andaz-e-yazdan kaun dekhega mujhe pi kar bahakne mein bahut hi lutf aata hai na tum dekhoge to phir mujh ko farhan kaun dekhega jise kahta hai ek aalam 'aziz'-e-waris-e-alam use aalam mein hairan-o-pareshan kaun dekhega