ye sahal hi sahi sikke uchhaal kar rakhna magar ye dil hai use bhi sambhaal kar rakhna nazar se lakh hon ojhal suragh manzil ke junun ka kaam hai sahra khangal kar rakhna hai inqalab ke shoalon ki garmiyan is mein mata-e-lauh-o-qalam ko sambhaal kar rakhna naya khayal nai raushni nai rahen safar naya hai qadam dekh-bhaal kar rakhna janab-e-'nur' ghazal ka yahi taqaza hai nae khayal ko qalib mein dhaal kar rakhna