sanehe lakh sahi hum pe guzarne wale rasto hum bhi nahin dar ke thaharne wale marne wale koi aur sabab dhund ki hum mare jaane ke to dar se nahin marne wale kitni jaldi mein hua khatm mulaqat ka waqt warna kya kya na sawalat the karne wale guftugu khud se hui apne hi haq mein warna sach se is bar to hum bhi the mukarne wale zindagi apni tamasha hi sahi lekin hum koi kirdar musalsal nahin karne wale ek kaghaz ke bharose pe bana kar kashti gahre pani mein utarte hain utarne wale pyas bhadkaen jahan sirf rawayyon ke sarab hum bhi is dasht mein panw nahin dharne wale hum mein kyun baat kabhi ho nahin pati 'sima' hum kisi roz yahi baat the karne wale