ye saman ye lutf ye dil-chasp manzar dekh kar ho gae be-ghar hazaron aap ka ghar dekh kar is taraf dil dekh kar aur us taraf sar dekh kar panw rakhna chahiye tum ko zamin par dekh kar chain kyun aane laga jalwon ko dam bhar dekh kar pahle dekhunga unhen phir hunga muztar dekh kar kah gaya wo mere ujde ghar ka manzar dekh kar khak patthar shad hun main khak patthar dekh kar allah allah is qadar tasir-e-sauda-e-bahaar dil ki ek ek rag phadak uthti hai nashtar dekh kar har ghadi mujh ko rahi surat parasti hi ki dhun main hua betab aksar sun kar aksar dekh kar hasrat-e-nazzara mahshar mein hamein lai to hai kya hamara haal hoga un ko din bhar dekh kar qatl ki ab kya zarurat hum to yun hi mar gae un ke nazuk hath mein chhota sa khanjar dekh kar jo dua dete the jine ki mujhe wo dost bhi uth gae baalin se mera haal abtar dekh kar qasd tha ho kar palat aaenge ab talte nahin panw phailane lage hum ku-e-dilbar dekh kar dil unhen denge magar hum denge in sharton ke sath aazma kar jaanch kar sun kar samajh kar dekh kar ek mimbar tha wahan do-chaar the zarf-e-wazu ho gai hairat hamein allah ka ghar dekh kar wo samajhte hain ye koi talib-e-didar hai saya-e-qamat ko bhi raste mein aksar dekh kar dasht se barson mein lai thi hamein hubb-e-watan aur wahshat badh gai ujda hua ghar dekh kar shash-jihat ke gham se mai-khwaron ko chhutkara mila khum subu shisha surahi jam saghar dekh kar dawar-e-mahshar ko itni jaanch ki fursat kahan phenk dega wo mere isyan ka daftar dekh kar but-parasti tak pahunchti hai kahan naseh ye baat khush hua karta hun main khush-rang patthar dekh kar gham mujhe kya ho ki tanha mubtala-e-gham nahin mutmain hai dil mera duniya ko muztar dekh kar mere dil mein aae wo apne harim-e-naz se tisra ghar ab na dekhen dusra ghar dekh kar 'nuh' is tufan par kya abr ko tarjih dun pani pani hai wo josh dida-e-tar dekh kar