falak karne ke qabil aasman hai ki ye pirana-sar jahil jawan hai gae un qafilon se bhi uthi gard hamari khak kya jaanen kahan hai bahut na-mehrban rahta hai yani hamare haal par kuchh mehrban hai hamein jis jae kal ghash aa gaya tha wahin shayad ki us ka aastan hai mizha har ek hai us ki tez nawak khamida bhaun jo hai zorin kaman hai use jab tak hai tir-andazi ka shauq zabuni par meri khatir nishan hai chali jati hai dhadkon hi mein jaan bhi yahin se kahte hain jaan ko rawan hai usi ka dam bhara karte rahenge badan mein apne jab tak nim-jaan hai pada hai phul ghar mein kahe ko 'mir' jhamak hai gul ki barq-e-ashiyan hai