ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata main aakhiri charagh hun suraj ke shahr ka bazm-e-sukut-e-dil mein hai halchal machi hui sarangiyan hain kis ke badan ki ghazal-sara meri bayaz-e-dard wo padh kar bahut hanse tha nam jin ka pahle waraq par likha hua dekha ajib khwab amawas ki raat ne hum chal rahe the chand pe donon barhana-pa shoalon ke hath the ki thithurte chale gae phir barf ka libas kisi ne pahan liya sone ki tashtari mein saja kar na phul bhej ye khel mujh gharib se dekha na jaega khushbu ke khwab mein na dhali zindagi magar chandan ki lakdiyon se jalana meri chita kaghaz ki naw aag ke dariya mein dal di kya jaane aur chahti kya hai teri ana ai dost is qadar bhi akela koi na ho main khud bhi apne sath nahin dusra to kya ai 'prem' yun to dhum thi sare jahan mein apne hi ghar mein koi hamein puchhta na tha