hazar koshish-e-paiham ke bawajud hamein tamam umr koi dost ba-wafa na mila kahan ka wasl mulaqat hi ghanimat hai phir us ke baad wo hum se mila mila na mila wo jis ko hum ne zamane se badh ke chaha tha us ek shakhs ki chahat mein kuchh maza na mila teri judai ke sahra mein kho gae aise suragh apna kahin aur kahin pata na mila ye kaenat ki be-rang hoti jati hai jo dil ka rang dikhati wo aaina na mila talashte rahe kanton mein phul se paikar mizaj hum ko azal se hi aashiqana mila tamam umr hi raston ki khak chhani hai hamein to manzil-e-hasti tera pata na mila hamein jo rah dikhata qadam qadam pe 'nabil' misal-e-khizr koi aisa rahnuma na mila khud aap apne muqabil mein aa gae hain 'nabil' hamein mizaj mila bhi to baghiyana mila