ye shahr apni isi haw-hu se zinda hai tumhaari aur meri guftugu se zinda hai kuchh is qadar bhi burai nahin hai mazhab mein jahan kalma-e-la-taqnatu se zinda hai hum apni nafs-kushi ki taraf nahin mail ki apna jism to bas aarzu se zinda hai ab us ke baad bataen to kya bataen hum tamam qissa-e-man hai ki tu se zinda hai hum is ke baad bhi sargarm-e-zindagi hain ki dil bas ek qatra-e-taza-lahu se zinda hai