yun bhi to teri rah ki diwar nahin hain hum husn-e-talab ishq ke bimar nahin hain ya tujh ko nahin qadr ham-ashufta-saron ki ya hum hi mohabbat ke saza-war nahin hain kya hasil-e-kar-e-gham-e-ulfat hai ki majnun ab dasht-nawardi ko bhi tayyar nahin hain aksar mere sheron ki sana karte rahe hain wo log jo ghaalib ke taraf-dar nahin hain ab tujh ko salam ai gham-e-jaanan ki jahan mein kya hum se diwanon ke kharidar nahin hain phir tujh se juda ho ke kahin khud se bichhad jaen hum log kuchh aise bhi dil-azar nahin hain