ye shakh-e-hunar apni jo gul-e-rez rahi hai majruh tah-e-khanjar-e-changez rahi hai dam lo ki zara qafila-e-waqt bhi aa le yan gardish-e-paimana badi tez rahi hai insanon ke dukh-sukh mein barabar rahi shamil ye taba jo zahir mein kam-amez rahi hai us ghamza-e-pinhan ki halawat bhi ata ho! jis bin mai-e-ishrat bhi gham-angez rahi hai sad marka-e-nur-o-ziya dil ko hai darpesh ye meri khudi kitni khud-awez rahi hai har subh tan-e-zar ko kuchla hua paya bas ruh-e-tapish-dida sahar-khez rahi hai pite rahe hum us ko tere husn ki khatir saqi! ye teri mai ki sam-amez rahi hai wan ghunche khile aur yahan zakhm rise hain har mauj-e-saba khanjar-e-khun-rez rahi hai