ye shohrat hai ki ruswai magar had se ziyaada hai main khud itna nahin saya mere qad se ziyaada hai mere dil ki girah baaten banane se nahin khulti ki mujh mein bastagi kuchh qufl-e-abjad se ziyaada hai kisi ke pas harf-e-dil-nashin baqi nahin warna qubul ab bhi dilon ki khak mein rad se ziyaada hai suwaida ko mere nisbat bahut hai sang-e-aswad se magar naqsh-e-kaf-e-pa-e-mohammad se ziyaada hai ye jaan-e-na-tawan meri ye shauq-e-be-aman mera tawanai kaf-e-sailab mein sad se ziyaada hai