ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae

ye jo nang the ye jo nam the mujhe kha gae
ye khayal-e-pukhta jo kham the mujhe kha gae

kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wahi zawiye ki jo aam the mujhe kha gae

main amiq tha ki pala hua tha sukut mein
ye jo log mahw-e-kalam the mujhe kha gae

wo jo mujh mein ek ikai thi wo na jud saki
yahi reza reza jo kaam the mujhe kha gae

ye ayan jo aab-e-hayat hai ise kya karun
ki nihan jo zahr ke jam the mujhe kha gae

wo nagin jo khatim-e-zindagi se phisal gaya
to wahi jo mere ghulam the mujhe kha gae

main wo shoala tha jise dam se to zarar na tha
pa jo waswase tah-e-dam the mujhe kha gae

jo khuli khuli thin adawaten mujhe ras thin
ye jo zahr-e-khanda-salam the mujhe kha gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close