ye sidhe jo ab zulfon wale hue hain hamare hi sab bal nikale hue hain tabassum-faza mere nale hue hain zara shokh ab sharm wale hue hain mere hath par khele hain afi-e-zulf ye sanp aastinon ke pale hue hain nahin hum ko laghzish ka dar mai-kade mein ki do do farishte sambhaale hue hain ulajhte hain sote mein zulfon se kya kya wabaal un ko kanon ke baale hue hain chhupa kar bahut pi hai masjid mein waiz ye zarf-e-wuzu sab khangale hue hain shab-e-wasl bole na ab dil mein aaen jo arman mere nikale hue hain alag hai khudai se kuchh sakht un ki ye but aur sanche mein dhaale hue hain jo yaad ab tak aate hain ahl-e-chaman ko qafas mein wahi naghme nale hue hain kisi par dam-e-hashr kya aankh dalun hasin sab mere dekhe-bhaale hue hain junun rang laya hai phir fasl-e-gul mein nahin lala sab zakhm aale hue hain charagh ab shab-e-wasl jalne na denge wo gesu jo bal kha ke kale hue hain nazakat ne teri giraya nazar se sab kitne bhaari doshaale hue hain ye ai shaikh gumbad nahin masjidon mein khum-e-mai hamare uchhaale hue hain bhari bazm mein lutf-e-khalwat nahin hai wo nashshe mein hain hum sambhaale hue hain ye kahti hai mast aankh un ki shab-e-wasl kai aaj khali pyale hue hain bahe hain jo furqat mein aankhon se meri wo dariya to aankhen nikale hue hain are kanto jo ashk mizhgan se tapke wahi panw pad pad ke chhaale hue hain subu aab-e-zamzam se dho kar bhari mai achhute hain jitne khangale hue hain jawani mein kyun sar uthaen na gesu ki ab dasne wale ye kale hue hain wo mahshar mein kya aib kholenge mere jo rahmat se ab parda dale hue hain suna hai 'riyaz' apni dadhi badha kar budhape mein allah wale hue hain