thokaren kha ke sambhalna nahin aata hai mujhe chal mere sath ki chalna nahin aata hai mujhe apni aankhon se baha de koi mere aansu apni aankhon se nikalna nahin aata hai mujhe ab teri garmi-e-aghosh hi tadbir kare mom ho kar bhi pighalna nahin aata hai mujhe sham kar deta hai aksar koi zulfon wala warna wo din hun ki dhalna nahin aata hai mujhe kitne dil tod chuka hun isi be-hunari se jal mein phans ke nikalna nahin aata hai mujhe beach dariya ke main dariya to badal sakta hun apni kashti ko badalna nahin aata hai mujhe apne mani ko badalna to mujhe aata hai in ke lafzon ko badalna nahin aata hai mujhe 'farhat-ehsas' taraqqi nahin karni mujh ko itni raftar se chalna nahin aata hai mujhe