ye soch rakha hai koi shikwa nahin karunga main apni ghairat mazid ruswa nahin karunga meri wafaen tere rawayye pe munhasir hain wafa karunga magar ye wada nahin karunga nahin sunaunga ab gulabon ko tera qissa main titliyon se bhi tera charcha nahin karunga wo ek masiha jo sari basti ka chaaragar hai wo mujh se kahta hai tujh ko achchha nahin karunga tum ab ke mujh ko jo raste mein kahin miloge to dekh lena koi ishaara nahin karunga badi ummidon se main ne puchha wafa karoge bade tafakhur se mujh se bola nahin karunga kisi ke dar se main jaan-e-'nasir' ko dost kah dun muaf kijega hargiz aisa nahin karunga