asar hota nahin hai pattharon par hamein bhi naz hai apne saron par main hilti shakh se darta nahin hun bharosa hai mujhe apne paron par duaen mangti rahti hain nadiyan umad aate hain baadal sagaron par mujhe un bastiyon ki aarzu hai jahan tale nahin milte gharon par qalam kamzor padta ja raha hai siyasat chha rahi hai shairon par lade donon the hindu aur muslim magar kis ka lahu tha khanjaron par agar khud par bharosa hai to 'ulfat' ubhar aate hain chehre pattharon par