ye sochta hun charaghon ka ehtimam karun hawa ko bhuk lagi hai kuchh intizam karun har ek sans ragad kha rahi hai sine mein aur aap kahte hain aahon pe aur kaam karun abhi to dil ki qayaadat mein panw nikle hain talash-e-ishq ruke to kahin qayam karun khata-muaf magar itna be-adab bhi nahin baghair dil ki ijazat tumhein salam karun faqir-e-ishq hun kashkol-e-dil mein hasrat hai gadagari ka mahasil bhi tere nam karun mere junun ko sehra hi jhel sakta hai kahin jo shahr mein niklun to qatl-e-am karun