ye sukhan jo meri zaban pe hai ye sukhan hai us ka kaha hua ye bayan jo hai mere nam se ye bayan hai us ka likha hua wahi maili maili si chandni wahi dhundli dhundli si raushni ye charagh koi charagh hai na jala hua na bujha hua wahi ek yaad kiran kiran meri zindagi mein hai zau-fagan wahi ek chehra chaman chaman sar-e-dasht-e-jaan hai khila hua sar-e-rah kuchh na pata chala wo kahan gaya wo kidhar gaya kahin naqsh-e-pa tha bana hua kahin naqsh-e-pa tha mita hua karun doston ko main nazr kya mere pas dam-o-diram kahan wo jo dushmanon ka hisab tha wo to naqd-e-jaan se ada hua na kisi ki yaad ka naqsh hai na kisi ke rukh ka ye aks hai ye na koi harf na lafz hai sar-e-khak kya hai likha hua mujhe 'mohsin' is ka gila nahin mujhe mal-o-zar jo mila nahin jo hunar sukhan ka mujhe mila wo kahan sabhi ko ata hua