ye surmai fazaon ki kunmunahaten milti hain mujh ko pichhle pahar teri aahaten is kaenat-e-gham ki fasurda fazaon mein bikhra gae hain aa ke wo kuchh muskurahaten ai jism-e-naznin-e-nigar-e-nazar-nawaz subh-e-shab-e-visal teri malgujahaten padti hai aasman-e-mohabbat pe chhut si balbe jabin-e-naz teri jagmagahaten chalti hai jab nasim-e-khayal-e-khiram-e-naz sunta hun damanon ki tere sarsarahaten chashm-e-siyah tabassum-e-pinhan liye hue pau phutne se qabl ufuq ki adahaten jumbish mein jaise shakh ho gul-ha-e-naghma ki ek paikar-e-jamil ki ye lahlahahaten jhonkon ki nazr hai chaman-e-intizar-e-dost yaad-e-ummid-o-bim ki ye sansanahaten ho samna agar to khajil ho nigah-e-barq dekhi hain uzw uzw mein wo achpalahaten kis des ko sidhaar gain ai jamal-e-yar rangin labon pe khel ke kuchh muskurahaten rukhsar-e-tar se taza ho bagh-e-adan ki yaad aur us ki pahli subh ki wo rasmasahaten saz-e-jamal ki ye nawa-ha-e-sarmadi joban to wo farishte sunen gungunahaten aazurdagi-e-husn bhi kis darja shokh hai ashkon mein tairti hui kuchh muskurahaten hone laga hun khud se qarin ai shab-e-alam main pa raha hun hijr mein kuchh apni aahaten meri ghazal ki jaan samajhna unhen 'firaq' sham-e-khayal-e-yar ki ye thartharahaten