san kar bayan-e-dard kaleja dahal na jae duniya se dar rahe the ki duniya badal na jae har mahfil-e-nashat se phirta hun dur dur kya ehtiyat hai ki tera gham bahal na jae to aaj tak to hai meri nazron mein hu-ba-hu duniya badal gai teri surat badal na jae hain taq-e-arzu pe khilaune saje hue mayus aarzu ki tabiat machal na jae tishna-labi kahin mujhe gharqab kar na de thodi si raushni ke liye ghar hi jal na jae ek khauf hai ki manzil-e-nisyan qarib hai tu wadi-e-khayal se aage nikal na jae roun kahan ki rahat-e-khalwat nahin hai 'shaz' hansne pe bhi ye shart ki aansu nikal na jae