ye tadap hai lazzat-e-zindagi ye khalish nahin to maza nahin main hun fitratan alam-ashna mere dukh ki koi dawa nahin yunhi waqiat ke zail mein kahin tera nam bhi aa gaya meri hasraton ka tha tazkira teri be-rukhi ka gila nahin meri shustagi-e-mazaq ne mujhe har bala se bacha liya main junun ki zad mein na aa saka main hadaf khirad ka bana nahin mera zauq khud mera rahbar mera shauq khud mera rahnuma use ho zarurat-e-na-khuda jise e'timad-e-khuda nahin abhi aur talkhi-e-soz ko zara rang-e-naghma-e-saz de jo mizaj-e-husn pe bar hon yahan aise ashk rawa nahin main 'shafiq' hasrat-o-yas-o-gham ke na gaun git to kya karun koi saz-e-aish-o-tarab nahin koi dil-nawaz sada nahin