wo ba-wafa nahin na sahi bewafa to hai duniya-e-husn-o-ishq mein ek rabta to hai ab kya karen ki ye bhi gawara nahin unhen aadab-e-gham mein waise tabassum rawa to hai hum ko na kyon aziz hon duniya ke pech-o-kham zulfon se teri dur ka ek wasta to hai tu hi bata kahan hai teri be-rukhi ka zikr tu ne bhi qissa-e-gham-e-ulfat suna to hai un ki nazar se ho ki zamane ki chaal se duniya-e-dil mein hashr hamari bapa to hai kya ye bhi tere zauq-e-jafa ko hai nagawar apni wafa ko main ne wafa han kaha to hai mana kabhi jafa ka na shikwa kiya 'shafiq' un ki inayaton se tumhein ab gila to hai