ye tai hua hai ki qatil ko bhi dua dije khud apna khun baha phir bhi khun-baha dije niyaz-o-naz baja hain magar ye shart-e-visal hai sang-e-rah-e-talluq ise hata dije suna tha hum ne ki manzil qarib aa pahunchi kahan hain aap agar ho sake sada dije sahar qarib sahi phir bhi kuchh baid nahin charagh bujhne lage hain to lau badha dije mahakte zakhmon ko inam-e-fasl-e-gul kahiye sulag uthe jo chaman barq ko dua dije kuchh is tarah hai ki guzre hain jis qayamat se samjhiye khwab use khwab ko bhula dije badal gae hain taqaze sukhan-shanasi ke udhar ata ho idhar dad barmala dije ye kya zarur ki ehsas ko zaban mil jae hai hukm-e-naghma-sarai to gunguna dije