mujh ko gahrai mein mitti ki utar jaana hai zindagi bandh le saman-e-safar jaana hai ghar ki dahliz pe raushan hain wo bujhti aankhen mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai main wo mele mein bhatakta hua ek bachcha hun jis ke man bap ko rote hue mar jaana hai zindagi tash ke patton ki tarah hai meri aur patton ko bahar-haal bikhar jaana hai ek be-nam se rishte ki tamanna le kar is kabutar ko kisi chhat pe utar jaana hai