ye tera ikhtiyar hai jo de saza mujhe mujrim magar na man yunhi be-khata mujhe main ajnabi nahin hun tera tarjuman hun khamoshiyon ke shahr kabhi de sada mujhe auron pe e'timad na kar chot khaega mumkin ho jis tarah se bas apna bana mujhe kab tak sunata jaun tujhe apne waqiat kuchh apni dastan bhi to aakhir suna mujhe mera wajud ban gaya sahra ki tishnagi tere badan ki chahiye ab to ghata mujhe us ke huzur main hi khata-kar hun 'matin' meri wafa ka achchha sila ye mila mujhe