wo zist jo lazzat-kash-e-alam rahi hai wo zist tere nam se mansub hui hai kyon hijr ki shab mahki tere qurb ki khushbu kya koi kali yaad ke gulshan mein khili hai ai guzre hue lamho koi naqsh ubhaaro aaina-e-takhyil pe ab gard jami hai ek hum hain ki khak-e-rah-e-jaanan mein abhi tak ek wo hain ki un ki wahi begana-rawi hai ai gardish-e-ayyam koi zakhm naya aur ek mod pe ab ‘umr-e-rawan thahr gai hai rudad-e-gham-e-dil main sunaun tujhe kyunkar main dekh raha hun teri aankhon mein nami hai ab guzre hue waqt ka kuchh zikr na chhedo mushkil se tabi'at meri qabu mein hui hai muddat se kisi dard ka tohfa nahin aaya ya gardish-e-ayyam hamein bhul gai hai ai baad-e-sahar aaj to chup-chap guzar ja hone de zara der abhi aankh lagi hai mai lao ghazal gao qarib aao shab-e-mah sharminda nigahon se hamein dekh rahi hai mat puchh ki kya hum pe guzarti hai tere ba'd baithe hain jahan subh wahin sham hui hai hai awwal-e-shab bazm mein rang aakhir-e-shab ka kya sham' koi waqt se pahle hi bujhi hai