ye to duniya hai zarurat se mila karti hai ek man hai jo mere haq mein dua karti hai waqt to phus pe rakh deta hai ek chingari aur baqi jo bache kaam hawa karti hai ek tinka bhi ulajh padta hai tufanon se izzat-e-nafs har ek shai mein hua karti hai dusra kaam nahin hai koi us ko shayad guftugu apni ye diwar suna karti hai mere andar bhi utar jati hai gahe-gahe raushni yun to dariche mein raha karti hai subh hote hi chali jae khandar ke andar zindagi raat ko sahra mein phira karti hai meri palkon pe thahar jati hai aakar sar-e-sham chandni roz nae khwab buna karti hai wo hawa hai ki jo har roz chaman se aakar khushbuen shahr mein taqsim kiya karti hai raaz ye khul na saka kis liye aakhir ai 'nur' huk si roz mere dil mein utha karti hai