ye zaruri hai nazar sab ki TaToli jae

ye zaruri hai nazar sab ki tatoli jae
baad mein zulf-e-sukhan bazm mein kholi jae

bol utthega har ek harf sukhan ka apne
han magar nok-e-qalam dil mein dubo li jae

raushni itni ziyaada hai gali mein us ki
koshishen lakh karun aankh na kholi jae

us ko wahshi bhi samajh lete hain aasani se
pyar ki boli kisi boli mein boli jae

eatibar apna bahar-haal wo kho deti hai
baat jo dil ke taraazu mein na toli jae

waqt guzra to koi faiz na hasil hoga
fasl wo fasl hai jo waqt pe bo li jae

'nur' milti hai kahan narm-mizaji sab ko
chiz achchhi hai tabiat mein samo li jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close