ye to hathon ki lakiron mein tha girdab koi

ye to hathon ki lakiron mein tha girdab koi
itne se pani mein agar ho gaya gharqab koi

gham ziyaada hain bahut aankhen hain sahra sahra
ab to aa jae yahan ashkon ka sailab koi

ishq ka faiz hai ye tu jo chahak uttha hai
be-sabab itna bhi hota nahin shadab koi

abr ban kar mujhe aaghosh mein le aur samajh
kaise sahra ko kya karta hai sairab koi

tarbiyat did ki dete hain jo hain laiq-e-did
khud kahan jaanta hai did ke aadab koi

ye jo har dhup ko lalkarti rahti hai sada
kya mere sar pe duaon ki hai mehrab koi

kaisi tabir ki hasrat ki 'ziya' barson se
na-murad aankhon ne dekha hi nahin khwab koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close