zard patte the hamein aur kya kar jaana tha tez aandhi thi muqabil so bikhar jaana tha wo na tha tark-e-talluq pe pasheman to phir tum ko bhi chahiye ye tha ki mukar jaana tha kyun bhala kachche makanon ka tumhein aaya khayal tum to dariya the tumhein tez guzar jaana tha ishq mein soch samajh kar nahin chalte sain jis taraf us ne bulaya tha udhar jaana tha tujh se hi tuta bharam rishton ki mazbuti ka sar pe ilzam tere dida-e-tar jaana tha khud ko jab kar hi diya tha teri aandhi ke supurd phir ye kya jaan ke karte ki kidhar jaana tha kya khabar thi ki yahan teri zarurat hogi hum ne to bas dar-o-diwar ko ghar jaana tha