ye to malum ki phir aaiyega baithiye aaj kahan jaiyega marqad-e-kushta pe jab aaiyega dil mein kuchh soch ke pachhtaiyega hum to samjhe the ki jald aaiyega khair ab puchh ke ghar jaiyega ghair ko bose dahan ke kaise kuchh mera munh to na khulwaiyega mere kahne mein nahin hai dil-e-zar aap hi kuchh use samjhaiyega ab to chuse lab-e-shirin hum ne lo hamein ghol ke pi jaiyega daulat-e-wasl hai qimat dil ki aage kuchh aap bhi farmaiyega jama khatir rahiye ai ahl-e-qubur hum bhi aate hain na ghabraiyega wasf likhte hain lab-e-shirin ke kuchh mithai hamein khilwaiyega naza mein pas mere kyun baithe uthiye uthiye nahin ghabraiyega sadma-e-hijr mein taklif karen malak-ul-maut se farmaiyega aap par marne se hasil kya hai fatiha bhi to na diwaiyega shaikh-ji but ki burai kije apne allah se bharpaiyega kabe mein sakht-kalami sun li but-kade mein na kabhi aaiyega bose lillah 'sakhi' mangta hai ek dijega to das paiyega