ye to mana ki tumhein ghair se nisbat kaisi

ye to mana ki tumhein ghair se nisbat kaisi
ho rahi hai sar-e-bazar ye shohrat kaisi

aap ki kham-khayali hai faqat hazrat-e-dil
wo 'adawat bhi nahin rakhte mohabbat kaisi

dard-e-furqat bhi hua shamil-e-rashk-e-aghyar
ye musibat mein nai aur musibat kaisi

bhole-bhaale hain sitam un ko kahan se aaya
muft mein log lagate hain ye tohmat kaisi

chahne wale nirale hain tere duniya se
jaan qurban karen tujh pe ye daulat kaisi

wasf-e-aghyar wo mujh se hi bayan karte hain
dekhiye sujhi hai ye un ko shararat kaisi

mudda'a ye hai ki tadpa hi kare furqat mein
wo jatate hain mohabbat dam-e-rukhsat kaisi

wasl mein sharf ne chhoda tha ba-mushkil daman
darmiyan ho gai hail ye nazakat kaisi

khud-bakhud pyar jise dekhte hi aata hai
pyari pyari hai khuda rakkhe wo surat kaisi

jo teri chaal se barpa ho wo fitna kaisa
jo teri rah se utthe wo qayamat kaisi

khana-e-dahr hai goya ki musafir-khana
ghafilo nind sar-e-bistar-e-rahat kaisi

wo to aae the magar main na unhen rok saka
hath aa kar mere jati rahi daulat kaisi

khwahish-e-wasl pe wo shokh ye hans kar bola
chutkiyan leti rahe dil mein wo hasrat kaisi

mai ho ma’shuq baghal mein ho janab-e-wa’iz
dekhiye phir ki bahalti hai tabi'at kaisi

lakh ‘ishrat ke hon saman magar ai 'hajir'
rahat-e-jaan na baghal mein ho to rahat kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close