waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se

waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se
dil ka shikar karte hain zulfon ke jal se

naseh khuda ke waste zikr-e-sanam na kar
hota hai ranj aur kisi ke khayal se

aaega baz tu na 'adu se mile baghair
zahir ye ho raha hai teri chaal-dhaal se

us ke liye jahan mein lutf-e-hayat kya
mayus ho gaya ho jo tere visal se

ab raaz hum se khinchne ka ma'lum ho gaya
karte ho khush 'adu ko hamare malal se

ye bhi hai ek saliqa-e-inkar dekhna
chin-bar-jabin wo hote hain mere sawal se

achchha ye 'ishq achchhi ye dil-bastagi hui
aaya hun tang roz ke ranj-o-malal se

yun to bashar ke waste iksir hai sharab
pina hai is ka shart magar e'tidal se

dil mein agar wo khush hon to hairat ka hai maqam
zahir mein jo khafa hain meri ‘arz-e-haal se

kya kya guzar chuki hai mere dil pe hijr mein
waqif nahin hain aap abhi mere haal se

'hajir' ke mo'taqid hon ye hum ko yaqin hai
ja kar milen gar aap bhi us ba-kamal se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close