ye to nahin ki gham nahin han meri aankh nam nahin nashsha sambhaale hai mujhe bahke hue qadam nahin kahte ho dahr ko bharam mujh ko to ye bharam nahin aur hi hai maqam-e-dil dair nahin haram nahin tum bhi to tum nahin ho aaj hum bhi to aaj hum nahin kya meri zindagi teri bhuli hui qasam nahin 'ghaalib'-o-'mir'-o-'mushafi' hum bhi 'firaq' kam nahin