ye to sach hai ki safi' ki nahin niyyat achchhi han magar pai hai zalim ne tabiat achchhi kya hua aap ne pai hai jo surat achchhi aadmi wo hai ki jis ki ho tabiat achchhi aaj wo puchhne aae hain hamara matlab sun liya tha kahin matlab ki mohabbat achchhi khubsurat hai wahi jis pe zamana rijhe yun to har ek ko hai apni hi surat achchhi kuchh bhi ho ek tamanna to bandhi rahti hai tujh se sau darja tere milne ki hasrat achchhi nahin apne mein koi chahne wala tera dal di dalne walon ne adawat achchhi koi arman nahin hai to faqat betabi wasl se tere sitamgar teri furqat achchhi un ke aate hi badal jate hain tere tewar ai safi' chahiye insan ki niyyat achchhi