dil ko le kar hum se ab jaan bhi talab karte hain aap lijiye hazir hai par ye to ghazab karte hain aap morid-e-taqsir gar hote to lazim thi saza ye jafa phir kahiye hum par kis sabab karte hain aap karte ho abru se kushta rukh se dete ho jila husn mein eajaz kya kya roz-o-shab karte hain aap qais se jo tha kiya dar-parda laila ne suluk so wahi ai mehrban hum se bhi ab karte hain aap be-kali hoti hai hasrat se dil-e-sad-chaak ko apni zulf-e-ambarin ko shana jab karte hain aap hum ne puchha phir bhi us ki jaan phiri sab jism mein naza mein duri se jis ko jaan-ba-lab karte hain aap hans ke farmaya 'nazir' apni dua-e-lutf se ye bhi ho sakta hai kya is ka ojab karte hain aap