ye to sahra hai yahan thandi hawa kab aaegi yar, tum ko sans lene ki ada kab aaegi kuch karna chahte hain phir meri basti ke log phir teri aawaz ai koh-e-nida kab aaegi nasl-e-taza, main tujhe kya tajrabe apne bataun tere badhte jism par meri qaba kab aaegi sar-barahna bibiyon ke baal chandi ho gae kheme phir istada kab honge rida kab aaegi taq mein kab tak jalega ye charagh-e-intizar is taraf shab-e-gasht logon ki sada kab aaegi meri mitti mein bhi kuchh paude numu-amada hain tu mere aangan tak ai kali ghata kab aaegi