ye zarre jin ko hum khak-e-rah-e-manzil samajhte hain zaban-e-haal rakhte hain zaban-e-dil samajhte hain jise sab log husn o ishq ki manzil samajhte hain buland us se bhi hum apna maqam-e-dil samajhte hain haqiqat mein jo raaz-e-duri-e-manzil samajhte hain unhin ko hum suluk-e-ishq mein kaamil samajhte hain hamein kyun wo jafa-e-khas ke qabil samajhte hain ye raaz-e-dil hai is ko mahraman-e-dil samajhte hain isi ek jurm par aghyar mein barpa qayamat hai ki hum bedar hain aur apna mustaqbil samajhte hain nigahon mein kuchh aise bas gae hain husn ke jalwe koi mahfil ho lekin hum teri mahfil samajhte hain koi mane na mane is ko lekin ye haqiqat hai hum apni zindagi mein ghaib ko shamil samajhte hain ye narm o na-tawan maujen khudi ka raaz kya jaanen qadam lete hain tufan azmat-e-sahil samajhte hain hukumat ke mazalim jab se in aankhon ne dekhe hain 'jigar' hum bambai ko kucha-e-qatil samajhte hain