ye tujh se aashna duniya se begane kahan jate tere kuche se uthte bhi to diwane kahan jate qafas mein bhi mujhe sayyaad ke hathon se milte hain meri taqdir ke likkhe hue dane kahan jate na chhoda zabt ne daman nahin to tere saudai hujum-e-gham se ghabra kar khuda jaane kahan jate main apne aansuon ko kaise daman mein chhupa leta jo palkon tak chale aae wo afsane kahan jate tumhaare nam se mansub ho jate hain diwane ye apne hosh mein hote to pahchane kahan jate agar koi harim-e-naz ke parde utha deta to phir kaba kahan rahta sanam-khane kahan jate nahin tha mustahiq 'makhmur' rindon ke siwa koi na hote hum to phir labrez paimane kahan jate