ye kachche rang hain gahre main un ko dho nahin sakti sabhi kuchh jaanti hun is liye bhi ro nahin sakti abhi tak aankh ke har zawiye mein hijr ke gham hain tumhaare khwab aate hain magar mein so nahin sakti purane ped ki tahni hun par sarsabz hun ab tak parinde aate-jate hain main budhi ho nahin sakti mujhe wo sher kahne hain ki jin mein dil dhadakte hon main naqli phul aangan mein kabhi bhi bo nahin sakti bahadur main banun jitni magar ye bhi hai sach 'iqra' ki ab main mar to sakti hun pa tujh ko kho nahin sakti