ye tuti kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhaare hain kinaron se hain ummiden na maujon ke sahaare hain nahin malum kya kya rang badlegi abhi duniya nigah-e-waqt ke ai dil bahut nazuk ishaare hain mere aansu to jazb-e-khak ho kar rah gae kab ke darakhshan un ki palkon par abhi tak kuchh sitare hain hamari aur tumhaari zindagi mein farq hi kya hai wahi baaten tumhaari hain wahi qisse hamare hain ibarat hai unhin se dastan-e-zindagi 'muztar' kisi ki yaad mein jo zindagi ke din guzare hain