ye uruj-e-hasti hai ya zawal-e-hasti hai

ye uruj-e-hasti hai ya zawal-e-hasti hai
un ki aarzu mahngi apni maut sasti hai

khul chuke hain rindon par raaz-ha-e-mai-khana
khud nigah-e-saqi se tishnagi barasti hai

dur tak nahin koi sath dasht-e-ghurbat mein
raston ki virani aur dil ko dasti hai

kuchh to ai gham-e-jaanan tujh ko bhulna hoga
sirf tera ho rahna ek buland pasti hai

ek tujhi ko chaha tha kya khudai chahi thi
phir bhi kam-nazar duniya jurm-e-dil pe hansti hai

kal unhin ki peshani subh-e-nau jagaegi
jin ki tira-bakhti par aaj raat hansti hai

dil 'mujib' aise mein dub dub jata hai
jab nigah-e-dushman se dosti barasti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close