ye us ki marzi ki main us ka intikhab na tha wagarna mere muqaddar mein kya janab na tha kuchh is liye tere gulshan se main palat aaya tamam phul wahan the magar gulab na tha bichhadte waqt hamare labon mein chubhne lage sawal aise ki jin ka koi jawab na tha jise bhi chaha use be-hisab chaha ki hamare dil mein miyan shoaba-e-hisab na tha gulu-e-khushk se tir-e-sitam ko tod diya ye bachpane ka tha aalam abhi shabab na tha main ek zamane mein 'hashim-raza' payambar tha mohabbaton ka magar sahib-e-kitab na tha