wo mere shahr mein aata hai chala jata hai sab ko diwana banata hai chala jata hai zindagi jis ki ujad jati hai is se puchho zalzala shahr mein aata hai chala jata hai ek do bund baras kar ye garajta baadal dasht ki pyas badhata hai chala jata hai nakhuda hi nahin maujon ka thapeda aksar kashtiyan par lagata hai chala jata hai kaun wo kursi-nashin hai ki har aane wala sar-e-taslim jhukata hai chala jata hai jaane kab se wo sar-e-sham mazar-e-dil par sham-e-ummid jalata hai chala jata hai